Wednesday, October 15, 2008

Gham Ka Kahazana

gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
yeh nazarana tera bhi hai mera bhi

apne gham ko geet bana kar gaa lena
raag puraana tera bhi hai mera bhi
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
dil deewana tera bhi hai mera bhi

maikhane ki baat na kar waiz mujhse
aana jaana tera bhi hai mera bhi
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

shahar mein galiyon galiyon jiska charcha hai
woh afsaana tera bhi hai mera bhi

yeh nazarana tera bhi hai mera bhi
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi